Suna tha chaand aaj kal kisi do kamre wale makaan mein kiraaye se rehta hai,
aaj dekh liya,
ek darwaaze se nikla, parde ko kinaare karta hua,
Waise hi jaise asmaan mein badalon ko karta hai,
Use shayaad pata tha,
ki maine dekh liya, toh uspar ek kavita zarur likhunga,
isliye
usne apna naam bhi yaha “Kavita” bataya hai,
Chaand pe daag hua karta tha,
par is Kavita pe toh nahi hai,
nazar naa lage insaano ki,
isliye usne maathe par teeka lagaya tha
Toh bas kuch aise chaand bana “Kavita”